Kash tujhe malum ye hota,
Ashk bina rone ka matlab,
Khwabon me tujhse milne ko,
Neend bina sone ka matlab.
Kash tujhe malum ye hota,
Patjhad ke sawan ka matlab,
Pyasi is banjar zameen se,
Jaate us badal ka matlab.
Kash tujhe malum ye hota,
Bikhre un khawabon ka matlab,
Manzil ko pakar ke bhi,
Chhuti un raahon ka matlab.
Kash tujhe malum ye hota,
Lambi un raaton ka matlab,
Mauke dar maukon par hoti,
Choti un baaton ka matlab.
Kash tujhe malum ye hota,
tute us taare ka matlab,
Hasti aankon se teri wo,
Bahte us kaazal ka matlab.
Kash tujhe malum ye hota,
Ghut ti un saanson ka matlab,
Yaadon ki aagosh me teri,
Jalti un baahon ka matlab.
Kash tujhe malum ye hota,
Bin tere jeene ka matlab,
Haath liye har ek jaam ko,
Pyaas bina peene ka matlab.
Kash tujhe malum ye hota,
Is dard bhari pukar ka matlab,
Kash Mujhe malum ye hota,
Is beech khadi deewar ka matlab.
No comments:
Post a Comment